Thursday, October 4, 2007

Qurbani (1981)

Singer: Nazia Hassan
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Biddu
Year: 1981
Producer: Feroz Khan
Director: Feroz Khan
Actors: Amrish Puri, Feroz Khan,
Shakti Kapoor, Vinod Khanna, Zeenat Aman





Aap jaisa koi meri zindagi mein aaye
To baat ban jaaye, haan haan baat ban jaaye ...

Phool ko bahaar, bahaar ko chaman
Dil ko dil, badan ko badan
Har kisiko chahiye tan ka milan
Kash mujh par aisa dil aapka bhi aaye
To baat ban jaaye ...

Maein insaan hoon, farishta nahin
Dar hai behak, na jaun kahin
Tanha dil na sambhlega pyar bina yeh tadpega
Aapsa kahan hai dil aapko hi paaye
To baat ban jaaye ...

Singer: Asha Bhosle, Mohd Rafi
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Indeewar



Asha: kya dekhte ho?
Rafi: surat tumhaari
Asha: kyaa chahate ho?
Rafi: chahat tumhaari
Asha: na ham jo keh dein?
Rafi: keh na sakogi
Asha:
lagti nahin Theek niyat tumhaari ...
kyaa dekhate ho ...
Rafi:
roz-roz dekhoon tujhe nai nai lage
mujhe tere angon mein amrit ki dhaara
Asha:
milne lage dhang tere, dekhe koi rang tere,
teri baaton ka andaaz pyaara
Rafi: shararat se chehra chamakne laga kyon
Asha:
ye rang layi hai sangat tumhaari..
kya dekhte ho ...

Asha:
socho zara jaan-e-jigar bitegi kya tumpe
agar hamko jo koi chura le tumse hamko jo koi chura le
Rafi:
kisine jo tumhein cheena, naamumkin hai usaka jeenaa,
kaise nazar koi daale tumpe kaise nazar koi daale
Asha: pyaar pe apne itna bharosa
Rafi: itnaa mohabbat mein fitrat hamaari

Asha: kya dekhte ho ...


Singer: Amit Kumar, Kanchan
Music Director: Kalyanji Anandji
Lyrics: Indeewar


--FEMALE--
(Laila main laila, aisi hoon laila
Har koi chaahe mujhse milna akela) - 2
Jisko bhi dekhoon duniya bhula doon
Majnu bana doon aisi main laila

--MALE--
Laila o laila laila, aisi tu laila
Har koi chaahe tujhse milna akela

--FEMALE--
O mohabbat ka jisko tareeqa na aaya
Usse zindagi ka saleeka na aaya
Raahe vafa mein jaan par jo khela
Uske liye hai yeh haseenon ka mela
Laila main laila, aisi hoon laila
Har koi chaahe mujhse milna akela

--MALE--
O laila, a ha, a ha, a ha
Gullu gullu, gullu gullu - 2

--FEMALE--
Mujhe dekhkar jo na dekhe kisi ko
Mere vaaste jo mita de khudi ko
Ussi deewaane ki banoongi main laila
Usse pyaar doongi main pehla pehla
Laila main laila, aisi hoon laila
Har koi chaahe mujhse milna akela

--MALE--
Laila o laila laila, aisi tu laila
Har koi chaahe tujhse milna akela

--CHORUS--
Laila o laila laila, aisi tu laila
Har koi chaahe tujhse milna akela

--MALE--
(Oh laila, oh laila)

--CHORUS--
La la la la la, la la la la la - 2


Singer : Anwar, Aziz Naza, Kishore Kumar
Lyrics : Farooq Kaiser


No comments: