Friday, October 6, 2017

Yeh Raat Phir Na Aayegi--1966



Music:: O P Nayyar
Lyrics::S H Bihari
Singer::Asha Bhosle,Mohammed Rafi
Film Director::Brij
Cast::Biswajeet, Sharmila Tagore, Mumtaz, Asit Sen, Prithviraj Kapoor, Sailesh Helen, Helen, B M Vyas, Madhumati.

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 
hamse ek aur mulaakaat ka vaada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 
hamse ek aur mulaakaat ka vaada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 

dil ki har baat adhuri hai adhuri hai abhi
apni ek aur mulaakaat zaruri hai abhi 
dil ki har baat adhuri hai adhuri hai abhi
apni ek aur mulaakaat zaruri hai abhi 
chand lamho ke liye saath ka vaada kar lo
hamse ek aur mulaakaat ka vaada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 

aap kyun dil ka hasi raaz mujhe dete hai
kyun naya nagma naya saaz mujhe dete hai
mai to hu dubi hui pyaar ki tufaano me
aap saahil se hi aavaaz mujhe dete hai
kal bhi hoge yahi jazbaat ye vaada kar lo
hamse ek aur mulaakaat ka vaada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar lo 
hamse ek aur mulaakaat ka vaada kar lo
phir miloge kabhi is baat ka vaada kar l

Yeh Raat Phir Na Aayegi--1966



Music:: O P Nayyar
Lyrics::S H Bihari
Singer::Asha Bhosle
Film Director::Brij
Cast::Biswajeet, Sharmila Tagore, Mumtaz, Asit Sen, Prithviraj Kapoor, Sailesh Helen, Helen, B M Vyas, Madhumati.

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

yahi woh jagah hain yahi woh fijaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the
yahi woh jagah hain yahi woh fijaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the
inhe ham bhala kis tarah bhul jaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi par mera haath me haath lekar
kabhi na bichhadne ka vaada kiya tha
sada ke liye ho gaye ham tumhare
gale se laga kar hame yeh kaha tha
kabhi kam na hongi hamari wafaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the

yahi par wafa ka naya rang bhar ke
banaayi thi chaahat ki taswir tumne
yahi ki bahaaro se phulo ko chun kar
sawaari thi ulfat ki takdir tumne
woh din aapko yaad kaise dilaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the
yahi woh jagah hain yahi woh fijaaye
yahi par kabhi aap hamse mile the

Anupama--1966



Music::Hemant Kumar
Lyrics::Kaifi Azmi
Singer::Lata Mangeshkar
Film Director::Hrishikesh Mukherjee
Cast::Dharmendra, Sharmila Tagore, Tarun Bose, Deven Verma, Shashikala, David, Durga Khote, Dulari, Surekha, Naina, Amar, R P Kapoor.

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi
kuchh dil ne suna kuchh bhi nahi
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi

leta hai dil angadaiya is dil ko samjhaaye koi
armaan naa aankhe khol de rusvaa naa ho jaaye koi
palko ki thandi sej par sapno ki pariyaa soti hai
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi

dil ki tassali ke liye jhuthi chamak jhutha nikhaar
jivan to suna hi raha sab samjhe aayi hai bahaar
kaliyon se koi puchhta hasti hai vo ya roti hai
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi
kuchh dil ne suna kuchh bhi nahi

Ustadon Ke Ustad--1963



Music::Ravi
Lyrics::Asad Bhopali
Singer::Mohammed Rafi
Film Director::Brij
Cast::Pradeep Kumar, Shakeela, Ashok Kumar, Johny Walker, Helen, Anwar, Sheikh Mukhtar.

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

wafa ke deep jalaye hue nigaho me
bhatak rahi ho bhala kyo udas raho me
tumhe khyal hai tum mujhse door ho lekin
main samne hu chali aao meri dhun me

sau bar janam lege
sau bar fana hoge
ai jaane wafa phir bhi
ham tum naa juda honge
sau bar janam lege
sau bar fana hoge

kismat hame milane se
rokegi bhala kab tak
inn pyar ki raho me
bhatakegi wafa kab tak
kadamo ke nisha khud hi manjil ka pata hoge
sau bar janam lege
sau bar fana hoge

ye kaisi udasi hai
jo husn pe chha ayi hai
ham dur nahi tumse
kahane ko judayi hai
arman bhare do dil phir ek jagah honge

sau bar janam lege
sau bar fana hoge
ai jaane wafa phir bhi
ham tum naa juda honge
sau bar janam lege
sau bar fana hoge

Dil Ek Mandir--1963



Music::Shankar Jaikishan
Lyrics::Shailendra
Singer::Mohammed Rafi
Film Director::C V Sridhar, P Madhavan
Cast::Raj Kumar, Meena Kumari, Rajendra Kumar, Mehmood, Shobha Khote, Achla Sachdev, Manmohan Krishna, Sunder, Krishna Kumari.

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

yaad na jaae, bite dino ki
jaake na aaye jo din, dil kyun bulaae, unhe
dil kyo bulaae
yaad na jaaye 

din jo pakheru hote, pijare me mai rakh detaa - 2
paalataa unako jatan se
paalataa unako jatan se, moti ke daane detaa
sine se rahataa lagaae
yaad na jaae 

tasvir unaki chhupaake, rakh dun jahaa ji chaahe - 2
man me basi ye surat
man me basi ye surat, lekin mite na mitaae
kahane ko hai vo paraae
yaad na jaae


Love In Tokyo--1966



Music::Shankar Jaikishan
Lyrics::Hasrat Jaipuri
Singer::Mohammed Rafi
Film Director::Pramod Chakravorty
Cast::Joy Mukherjee, Asha Parekh, Pran, Madan Puri, Mehmood, Ulhas, Dhumal, Murad, Shobha Khote, Master Shahid.

:::::::::::::::::::::::::::::::

aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa

dekh fiza me rang bhara hai
mere zigar ka jakhm hara hai
dekh fiza me rang bhara hai
mere zigar ka jakhm hara hai
seene se mere sarko laga de
haath me tere dil ki dawa hai
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa

apna sulagna kisko dikhaaun
saans ke toofaan kaise chhupaaun
apna sulagna kisko dikhaaun
saans ke toofaan kaise chhupaaun
aankhe kya kya dekh rahi hai
dil pe guzre kaise bataaun
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa

tere bhi dil me aag lagi hai
mere bhi dil me aag lagi hai
tere bhi dil me aag lagi hai
mere bhi dil me aag lagi hai
dono taraf hai ek si haalat
dono dilo par bijli giri hai
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aankho se dil me sama
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa
aaja re aa zara aa
lahra ke aa zara aa

April Fool--1964



Music::Shankar Jaikishan
Lyrics::Shailendra
Singer::Mohammed Rafi
Film Director::Subodh Mukherjee
Cast::Biswajeet, Saira Banu, Jayant, Nazima, I S Johar, Sajjan, Indu Shivraj, Rajan Haksar, Chand Usmani, Ram Avtar, Shetty,

:::::::::::::::::::::::::::::::

aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
ho ho ho aa gale lag ja

aabaad hai tu meri dhadkano me, meri jan tujhme basi hai
baadal se jo aas hai mor ko, mere dil ko wo tujhse lagi hai
ik teri muskaan angdaayi leti huyi meri taqdir jage
ik teri jhalki chali aaye pal me meri manzile mere aage
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
ho ho ho aa gale lag ja

mat aazmaa tu mere pyaar ko, khel mat yoon meri zindagi se
ulfat ke maaro ko kya maarna, jan de dete hain jo khushi se
ye husn jisko mile jan-e-jan bedili usko sajti nahi hai
ho khu-ba-ru chaand se jo hasin berukhi uski jachti nahi hai
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
aa gale lag ja mere sapne mere apne mere paas aa
ho ho ho aa gale lag ja