Showing posts with label Saraswatichandra--1968. Show all posts
Showing posts with label Saraswatichandra--1968. Show all posts

Wednesday, March 2, 2016

Saraswatichandra--1968



Music::Kalyanji Anandji
Lyrics::Indeevar 
Singer's::Mukesh
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

::Rag

:::::::::::::

(Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko) - (2) 
Chhod diya kyo pyar ne tere - 2 
Dar-dar bhatakane ko 
Pyar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko 

(Vo aansu jo bah nahi paye 
Vo baate jo kah nahi paye) - (2) 
Dil me chhupaye firate hai hum 
Ghut kar mar jane ko 
Pyar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko 

(Uski rahe tu jiski ho li 
Tujhko mubaraq pyar ki doli) - (2) 
Baith gaye ham gam ki chita par 
Zinda jal jane ko 
Pyaar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyaar tera paane ko 
Chhod diya kyo pyaar ne tere - 2 
Dar-dar bhatakane ko 
Pyaar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyaar tera pane ko

Saraswatichandra--1968::Charukesi::Rag



Music::Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics::Indeevar(Shyamalal Babu Rai)
Singer's::Lata Mangeshkar
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

Charukesi::Rag

:::::::::::::

chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa
man se man kaa milan koyi kam to nahin
man se man kaa milan koyi kam to nahin
khushboo aati rahe door hi se sahi
saamne ho chaman koyi kam to nahin
saamne ho chaman koyi kam to nahin
chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
hai diyaa hi bahut roshni ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa
doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

Saraswatichandra--1968::Yamun::Raag



Music::Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics::Indeevar(Shyamalal Babu Rai)
Singer's::Lata Mangeshkar
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

Yamun::Raag

:::::::::::::

chandan sa badan chanchal chitvan, dhire se tera ye muskana
chandan sa badan chanchal chitvan, dhire se tera ye muskana
mujhe dosh na dena jag walo
mujhe dosh na dena jag walo, ho jaaye agar dil divana
chandan sa badan chanchal chitvan

ye vishal nayan jese neel gagan, panchi ki tarah kho jao main
sirhana jo ho teri baho pe, angaro pe sau jaoo main
mera beragi man dol gaya, dekhi jo ada teri mastana
chandan sa badan chanchal chitvan

tan bhi sudar man bhi sudar, tu sudarata ki murat hai
kisi aur ko shaayad kam hogi, mujhe teri bahut zarurat hai
pahale bhi bahut dil tarsa hai
pahale bhi bahut dil tarsa hai, tu aur na dil ko tarsana
chandan sa badan chanchal chitvan, dhire se tera ye muskana

Saraswatichandra--1968::Yamun::Raag



Music::Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics::Indeevar(Shyamalal Babu Rai)
Singer's::Mukesh
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

Yamun::Raag

:::::::::::::

chandan sa badan chanchal chitvan
dhire se tera ye muskana - 2
mujhe dosh na dena jag walo - 2
ho jaau agar main divana
chandan sa

ye kaam kaman bhave teri
palko ke kinare kajrare
mathe pe sinduri surat
hontho pe dahkate angare
saya bhi jo tera pad jaye
aabad ho dil ka virana
chandan sa badan chancal chitvan

tan bhi sundar man bhi sundar
tu sundarta ki murat hai
kisi aur ko shayad kam hogi
mujhe teri bahut zarurat hai
pahale bhi bahut main tarsa hu
tu aur na mujh ko tarsana
chandan sa