Showing posts with label Anupama--1966. Show all posts
Showing posts with label Anupama--1966. Show all posts

Friday, October 6, 2017

Anupama--1966



Music::Hemant Kumar
Lyrics::Kaifi Azmi
Singer::Lata Mangeshkar
Film Director::Hrishikesh Mukherjee
Cast::Dharmendra, Sharmila Tagore, Tarun Bose, Deven Verma, Shashikala, David, Durga Khote, Dulari, Surekha, Naina, Amar, R P Kapoor.

:::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi
kuchh dil ne suna kuchh bhi nahi
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi

leta hai dil angadaiya is dil ko samjhaaye koi
armaan naa aankhe khol de rusvaa naa ho jaaye koi
palko ki thandi sej par sapno ki pariyaa soti hai
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi

dil ki tassali ke liye jhuthi chamak jhutha nikhaar
jivan to suna hi raha sab samjhe aayi hai bahaar
kaliyon se koi puchhta hasti hai vo ya roti hai
aise bhi baate hoti hai aise bhi baate hoti hai
kuchh dil ne kaha kuchh bhi nahi
kuchh dil ne suna kuchh bhi nahi

Monday, September 30, 2013

Anupama--1966






















Music By::Hemant Kumar
Lyricist::Kaifi Azmi
Singer(s)::Lata Mangeshkar
Actor's::Surekha Parkar, Tarun Bose

dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
koi aata hai
yu tadap ke na tadpa muze baar baar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar

uske daman ki khushbu hawao me hai
uske kadmo ki aahat phajao me hai
uske daman ki khushbu hawao me hai
uske kadmo ki aahat phajao me hai
mujh ko karne de karne de sola singar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar

dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
koi aata hai
yu tadap ke na tadpa muze baar baar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar

mujh ko chhune lagi uski parchhaiya
dil ke najdik bajti hai shahnaiya
mujh ko chhune lagi uski parchhaiya
dil ke najdik bajti hai shahnaiya
mere sapno ke aangan me gata hai pyar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar

ruth ke pahle ji bhar sataungi mai
jab manayenge wo maan jaaungi mai
ruth ke pahle ji bhar sataungi mai
jab manayenge wo maan jaaungi mai
dil pe rahta hai aese me kab ikhtiyar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar
koi aata hai
yu tadap ke na tadpa muze baar baar
koi aata hai
dhire dhire machal aye dil-e-bekraar