Sunday, March 27, 2011

WHO KAUN THI --1964

MUSIC::Madan Mohan
lyricst::Raja Mehdi Ali Khan
Singer::Lata Mangeshkar


Lag Ja Gale Ki Phir
Ye Hasin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulakat Ho Na Ho
Lag Jaa Gale Se ...

Hum Ko Mili Hai Aaj
Ye Ghadiya Naseeb Se
Je Bhar Ke Dekh Leejiye
Hamako Kareeb Se
Phir Apke Naseeb Mein
Ye Raat Ho Na Ho
Phir Is Janaam Mein
Mulakaat Ho Na Ho

Lag Ja Gale Ki Phir
Ye Hasin Raat Ho Na Ho……

Pas Aiye Ki Ham Nahin
Ayenge Baar Baar
Bahen Gale Mein Daal Ke
Ham Ro Le Zaar-zaar
Ankhoon Se Phir Ye
Pyaar Ki Barsaat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulakat Ho Na Ho


Lag Ja Gale Ki Phir
Ye Hasin Raat Ho Na Ho
Shayad Phir Is Janam Mein
Mulakat Ho Na Ho
Lag Jaa Gale Se

Wednesday, March 16, 2011

Pakeeza 1971





Singer(s)::Lata Mangeshkar


chaandani raat badi der ke baad aai hai
ye mulaaqaat badi der ke baad aai hai
aaj ki raat vo aaye hain badi der ke baad
aaj ki raat badi der ke baad aai hai

thaade rahiyo o baanke yaar re thaade rahiyo
thaade rahiyo - (3)

thaharo lagaay aaoon, nainon mein kajara
choti mein goond laaoon phoolon ka gajara
main to kar aaoon solah shrringaar re - (3)
thaade rahiyo...

jaage na koee, raina hai thodi
bole chhamaachham paayal nigodii... bole
nigodii... bole....
aji dheere se kholoongi dvaar re
saiyaan dheere se kholuungi dvaar re
main to chupake se
aji haule se kholuungi dwaar re
thaade rahiyo.

Pakeeza 1971




Actor(s)/Actress(es):: Meena Kumari, Raj Kumar, Ashok Kumar
Singer(s)::Lata Mangeshkar, chorus
Music Director(s)::Ghulam Mohammad, Naushad
Lyricist(s)::Kaifi Azmi
Category(ies)



aaj ham apanii duaao.n kaa asar dekhe.nge
tIr-e-nazar dekhe.nge, zakhm-e-jigar dekhe.nge (2)

aap to aa.Nkh milaate hue sharamaate hai.n,
aap to dil ke dha.Dakane se bhii Dar jaate hai.n
phir bhii ye jid hai ke ham zakhm-e-jigar dekhe.nge,
tIr-e-nazar dekhe.nge, zakhm-e-jigar dekhe.nge (2)

pyaar karanaa dil-e-betaab buraa hotaa hai
sunate aaye hai.n ke ye khvaab buraa hotaa hai
aaj ham is khvaab kii taavIj magar dekhe.nge
tIr-e-nazar dekhe.nge, zakhm-e-jigar dekhe.nge (2)

jaanalevaa hai muhabbat kaa samaa aaj kii raat
shamaa ho jayegii jal jal ke dhu.naa aaj kii raat
aaj kI raat bache.nge to sahar dekhe.nge (2)
tIr-e-nazar dekhe.nge, zakhm-e-jigar dekhe.nge (2)

Pakeeza 1971



Singer(s): Lata Mangeshkar, Mohd Rafi

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo
Aao kho jaaye sitaaron mein kahin - 2
Chhod de aaj yeh duniya yeh zameen
Duniya yeh zameen

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo
Hum nashe mein hai sambha lo hamein tum - 2
Neend aati hai jaga lo hamein tum
Jaga lo hamein tum

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo

--MALE--
Oh oh, oh oh, oh oh, oh oh oh

--FEMALE--
Oh oh oh, oh oh, oh oh oh
Zindagi khatm bhi ho jaaye agar - 2
Na kabhi khatm ho ulfat ka safar
Ulfat ka safar

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo

--MALE--
Chalo dildaar chalo
Chaand ke paar chalo

--FEMALE--
Hum hai tayaar chalo

Pakeeza 1971




Artist/Band::Lata Mangeshkar

Inhi logon ne, inhi logon ne - 2
Inhi logon ne le leena dupatta mera - 4
Hamri na maano bajajva se poochho
Hamri na maano saiyyaan
Hamri na maano bajajva se poochho
Jis ne
Jis ne asharfi gaz deena dupatta mera - 2
O ji ho dupatta mera, o dupatta mera
Aa, hamri na maano rangrajva se poochho
Hamri na maano saiyyaan
Hamri na maano rangrajva se poochho
Jis ne
Jis ne gulaabi rang deena dupatta mera - 2
Inhi logon ne, inhi logon ne, inhi logon ne
Hamri na maano sipahiya se poochho - 2
Aa aa aa aa, hamri na maano
Hamri na maano sipahiya se poochho
Sipahiya se, sipahiya se poochho
Jis ne
Jis ne bajariya mein chheena dupatta mera - 2
Inhi logon ne, inhi logon ne, inhi logon ne
Inhi logon ne le leena dupatta mera
Dupatta mera, dupatta mera - 2

Pakeeza 1971





Chalte chalte..chalte chalte
Yunhi koi mil gaya tha..2
Sare raah chalte chalte..2
Vahin thamke reh gayi hai..2
Meri raat dhalte dhalte..2

Jo kahi gayi na mujhse..2
Voh zamaana keh raha hai..2
Ke fasaana..
Ke fasaana ban gayi hai..2
Meri baat chalte chalte..2
Yunhi koi mil gaya tha..2
Sare raah chalte chalte..2
Yunhi koi..mil gaya tha
Sare raah chalte chalte
Chalte chalte
Sare raah chalte chalte
Chalte chalte

Chalte chalte..chalte chalte
Yunhi koi...mil gaya tha..2
Shabe intezaar aakhir..2
Kabhi hogi muqtasar bhi..2
Yeh chiraag...
Yeh chiraag..bujh rahe hain..2
Mere saath jalte jalte..2
Yeh chiraag bujh rahe hain
Yeh chiraag bujh rahe hain..5
Mere saath jalte jalte..2
Yunhi koi mil gaya tha..2
Sare raah chalte chalte..2