Monday, September 11, 2017

Geet Gaaya Pattharon Ne--1964



Music::Ramlal
Lyrics::Hasrat Jaipuri
Singer::Asha Bhosle
Film Director::V Shantaram
Cast::Jeetendra, Rajshree, Nana Palsikar

::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::::

tere khayalo me ham, tere hi baaho me hum
tere khayalo me ham, tere hi baaho me hum
apne hai dono jahan, o jan-e-bekhudi yaha
tere khayalo me ham

yu roshani bhor ki, palko me teri chhupu
jab aankh kholega tu, putli me honge hami
ham hai kala ki jagah, aankho me tere rawa
tere khayalo me ham

madbhar chanchal yeh sham, deti hai tujhko payam
patthar pe kar shayari, tujhko hamara salam
tu hain jaha ham waha, jhume jamin aasman
tere khayalo me ham

Geet Gaaya Pattharon Ne--1964



Music::Ramlal
Lyrics::Hasrat Jaipuri
Singer::ishori Amonkar
Film Director::V. Shantaram
Cast::Jeetendra, Rajshree, Nana Palsikar

saanso ke taar par, dhadkan ki taal par
dil ki pukar ka, rang bhare pyar ka
git gaya pathro ne, git gaya pathro ne
git gaya pathro ne, git gaya pathro ne
saanso ke taar par, dhadkan ki taal par
dil ki pukar ka, rang bhare pyar ka
git gaya pathro ne, git gaya pathro ne

insaa ki chahat bhari kalpanane
insaa ki chahat bhari kalpanane
dil bhi hai ghar bhi hai pathar me vo la jawani
ek ek surat hai shkale mohabbat
aankho di zindgani
pyar ke suro par
pyar ke suro par, apni hi dhun me 
dil ki pukar ka, rang bhare pyar ka
git gaya pathro ne, git gaya pathro ne

har ek ke pathr se barsegi ulfat
har ek ke pathr se barsegi ulfat
saalo hi sadiyo hi hardam rahenge ye milte
inme nahi hai insan ka bhed bhaav
tukade hai ye ek dil ke
shanti ke raag par
shanti ke raag par, ekta ke taan par 
dil ki pukar ka, rang bhare pyar ka
git gaya pathro ne, git gaya pathro ne