Thursday, October 4, 2007

Mahal (1949)

Actors : Ashok Kumar, Kanu Roy, Kumar, Madhubala, Vijayalaxmi
Director : Kamal Amrohi
Lyrics : Nakshab
Music Director : Khemchand Prakash
Producer : Bombay Talkies
Theme : Suspense



khaamosh hai zamaanaa, chup\-chup hai.n sitaare
aaraam se hai duniyaa, bekal hai dil ke maare
aise me.n koii aahaT, is tarah aa rahii hai
jaise ki chal rahaa hai, man me.n koii hamaare
yaa dil dha.Dak rahaa hai, ik aas ke sahaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa \-2

diipak baGair kaise, parvaane jal rahe hai.n \-2
koii nahii.n chalaataa, aur tiir chal rahe hai.n
ta.Dapegaa koii kab tak, be\-aas be\-sahaare \-2
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa

bhaTakii huii javaanii, ma.Nzil ko Dhuu.NDhatii hai \-2
maajhii baGair nayyaa, saahil ko Dhuu.NDhatii hai
kyaa jaane dil kii kashtii, kab tak lage kinaare
lekin ye kah rahe hai.n, dil ke mere ishaare

aaegaa, aaegaa, aaegaa, aaegaa aanevaalaa, aaegaa aanevaalaa \-2

No comments: