Wednesday, April 8, 2009

Geet



Singer::Lata & Mohd Rafi

mere mitwa
mere meet re
Aaja tujhko pukaare mere geet re
mere geet re
O mere mitwa
mere meet re
Aaja tujhko pukaare mere geet re
mere geet re
O mere mitwa
chaand chakori ki prem kahani
prem kahani
chaand chakori ki prem kahani
prem jagat me hai sabse puraani
sabse puraani
ho
isse puraani ek kahaani
teri meri preet re
aaja tujhko pukare mere geet re
mere geet re
o mere mitwa
ham hi mile the kabhi Jamuna kinaare
Jamuna kinaare
ham hi mile the kabhi Jamuna kinaare
Radha Kishan the kabhi naam hamaare
naam hamaare
o Phir wo muraliya phir wohi paayaliya
phir wohi sangeet re
Aaja tujhko pukaare mere geet re
mere geet re
O mere mitwa
mere meet re
Aaja tujhko pukaare mere geet re
mere geet re
O mere mitwa

Shagird



Singer:Lata Mangeshkar
Dil Le Liya Hai To Isko Mat Beqaraar Karna Koi Nahin Hain Iska Iss Dil Ko Pyar Karna Aaiya
Dil Vil Pyar Vyar Maein Kya Jaanu Re Jaanu To Jaanu Bas Itna Ki Maein Tujhe Apna Jaanu
Re Dil Vil Tu Hai Bura To Hoga Par Baaton Mein Teri Ras Hai Jaisa Bhi Hai Mujhe Kya Apna
Lagey To Bas Hai Ghar Ho Tera Jis Nagari Mein Chahe Jo Ho Tera Naam Re Ghar Var Naam Vaam
Maein Kya Jaanu Re Jaanu To Jaanu Bas Itna Ki Maein Tujhe Apna Jaanu Re Dil Vil Pyar
Vyar Aadat Nahin Ki Soochun Kitnon Mein Haseen Hai Tu Lat Mein Hain Kitne Ghoongar Nainon
Mein Kitna Jaadu Bas Tu Mohe Achha Laage Itne Hi Se Mujhko Kaam Re Lat Vat Nain Vain Maein Kya
Jaanu Re Jaanu To Jaanu Bas Itna Ki Maein Tujhe Apna Jaanu Re Dil Vil Pyar Vyar Kuchh Jaanti
To Kehti Rut Bankar Ke Maein Khili Hoon Daali Si Jhumti Mein Saajan Se Aa Mili Hoon Tu Hi
Jaane Rut Hai Kaisi Aur Hai Kitni Rangeen Shaam Re Rut Vut Shaam Vaam Maein Kya Jaanu Re Jaanu
To Jaanu Bas Itna Ki Maein Tujhe Apna Jaanu Re Dil Vil Pyar Vy

Aandhi


Singer::Lata & Kishore
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,

shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi,

to nahi, zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Kaash aisa ho tere qadmo se,

chun ke manzil chale aur kahi door kahi - 2
Tum gar saath ho, manzilo ki kami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi
Jee mein aata hai, tere daaman mein

sar jhuka ke ham rote rahe, rote rahe - 2
Teri bhi aankho mein, aansuo ki nami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tum jo keh do to aaj ki raat

chaand doobega nahi, raat ko rok lo -2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaki to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Saturday, April 4, 2009

Chori Chori - 1956


Singers::Mannadey & Lata Mangeshkar

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara

Aah...aah
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Ithlaati hawa, neelam sa gagan
Kaliyon pe yeh behoshi ki nami
Aise mein bhi kyoon bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami

Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara

Jo din ke ujaale ne na mila
Dil dhoonde aise sapne ko
Is raat ki jagmag mein doobi
Main dhoond rahi hoon apne ko

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Aise mein kahin kya koi nahin
Bhoole se jo humko yaad kare
Ek halki si muskaan pe jo
Sapnon ka jahan aabaad kare

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara
Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara

Seema 1955


Singer::Manna Dey

Tu pyaar ka saagar hai
Teri ek boond ke pyaase hum
Lauta jo diya tune
Chale jaayenge jahaan se hum

Tu pyaar ka saagar hai
Teri ek boond ke pyaase hum
Tu pyaar ka saagar hai

Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm

Ghaayal mann ka paagal panchhi
Udne ko beqaraar
Pankh hai komal, aankh hai dhundli
Jaana hai saagar paar
Ab tu hi isse samjha
Raah bhoole the kahan se hum

Tu pyaar ka saagar hai
Teri ek boond ke pyaase hum
Tu pyaar ka saagar hai

Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm
Mm mm mm mm mm

Idhar jhoom ke gaaye zindagi
Udhar hai maut khadi
Koi kya jaane kahaan hai seema
Uljhan aan padi
Kaanon mein zara keh de
Ke aaye kaun disha se hum
Tu pyaar ka saagar hai
Teri ek boond ke pyaase hum
Tu pyaar ka saagar hai

Waqt



Singer::Manna day
Eh meri zohra-jabeen, tujhe maalum nahi
Tu abhi tak hai haseen aur main jawaan
Tujhpe qurbaan meri jaan meri jaan
Eh meri zohra-jabeen…
Ye shokhiyaan ye baankpan,
Jo tujh mein hai kahi nahi
Dilo ko jeetne ka fan, jo tujh mein hai kahi nahi
Main teri…
Main teri aankho mein paa gaya do jahaan
Eh meri zohra-jabeen…
Tu meethhe bol jaan-e-man,
Jo muskuraake bol de
To dhadhkano mein aaj bhi,
Sharaabi rang ghol de
Oh sanam…
Oh sanam main tera aashiq-e-jaawida
Eh meri zohra-jabeen…

Wednesday, April 1, 2009

Solwaah Sal - 1958


Singer::Hemanth Kumar
Music Director::SD Burman

hai apanaa dil to aawaaraa, naa jaane kis pe aayegaa
haseenon ne bulaayaa, gale se bhee lagaayaa
bahot samazaayaa, yahee naa samazaa
bahot bholaa hain bechaaraa, naa jaane kis pe aayegaa

ajab hain diwaanaa, naa dar naa thhikaanaa
jameen se begaanaa, falak se judaa
ye yek tootaa huaa taaraa, naa jaane kis pe aayegaa

jamaanaa dekhaa saaraa, hain sab kaa sahaaraa
ye dil hee humaaraa huaa naa kisee kaa
safar mein hain ye banjaaraa, naa jaane kis pe aayegaa

huaa jo kabhee raajee, to milaa naheen kaajee
jahaa pe lagee baazee, wahee pe haaraa
ye yek tootaa huaa taaraa, naa jaane kis pe aayegaa

Pyaasa--1957



Singer::Hemanth Kumar

:::::::::

Jaane Woh Kaise Log The Jinke Pyar Ko Pyar Mila
Humne To Jab Kaliyaan Maangi Kaaton Ka Haar Mila

Bichhad Gayaa Har Saathi Dekar Pal Do Pal Ka Saath
Kisko Phursat Hai Jo Thaame Deewane Ka Haath
Humko Apna Saaya Tak Aqsar Bezaar Mila
Humne To Jab...

Isko Hi Jeena Kehte Hain To Yunhi Ji Lenge
Uf Na Karenge Lab See Lenge Aansoo Pee Lenge
Gham Se Ab Ghabraana Kaisa Gham Sau Baar Mila
Humne To Jab...

Khamoshi - Hemanth Kumar


Singer: Hemanth Kumar
Hm hm hm hm
Hm hm hm, hm hm hm

Tum pukar lo, tumhara intezaar hai, tum pukar lo
Khwaab chun rahi hai raat beqarar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Honth pe liye hue dil ki baat ham
Jaagte rahenge aur kitni raat ham) -2
Muqtasar si baat hai tum se pyaar hai
Tumhara intezaar hai, tum pukar lo

(Dil bahal to jaayega is khayal se
Haal mil gaya tumhara apne haal se) -2
Raat ye qaraar ki beqarar hai
Tumhara intezaar hai

Kashmir Ki Kali--1964


Singer: Asha Bhosle, Mohd Rafi
Music Director: Nayyar O P
Lyrics: Bihari S H
Year: 1964
Producer: Shakti Samanta
Director: Shakti Samanta
Actors: Anoop Kumar, Nazir Hussain, Pran, Shammi Kapoor, Sharmila Tagore
Theme: Love
Rafii: O Ho Ho, O Ho Ho, Aa Haa Haa

Diivaanaa Huaa Baadal
Saavan Kii Ghataa Chhaai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai
Diivaanaa Huaa Baadal

Aisii To Merii Taqadiir Na Thii
Tumasaa Jo Koii Mahabuub Mile
(Dil Aaj Khushii Se Paagal Hai) \- 2
(Ai Jaanevafaa Tum Khuub Mile) \- 2
Dil Kyuu.N Naa Bane Paagal, Kyaa Tumane Adaa Paai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai
Diivaanaa Huaa Baadal

Aashaa: Jab Tumase Nazar Takaraai Sanam
Jazabaat Kaa Ek Tuufaan Uthaa
(Tinake Kii Tarah Mai.N Bah Nikalii) \- 2
(Sailaad Mere Roke Na Rukaa) \- 2
Jiivan Me.N Machii Halachal
Aur Bajane Lagii Shahanaai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai
Rafii: Diivaanaa Huaa Baadal

Hai Aaj Naye Aramaano.N Se, Aabaad Merii Dil Kii Nagarii
(Baraso.N Se Fizaa.N Kaa Mausam Thaa) \- 2
(Viiraan Ba.Dii Duniyaa Thii Merii) \- 2
Haatho.N Me.N Teraa Aa.Nchal, Aayaa Jo Bahaar Aai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai

Aashaa: Diivaanaa Huaa Baadal, Saavan Ki Ghataa Chhaai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai
Rafii: Diivaanaa Huaa Baadal, Saavan Kii Ghataa Chhaai
Ye Dekhake Dil Jhuumaa, Lii Pyaar Ne A.Nga.Daai,
Diivaanaa Huaa Baadal

DIL DEKE DEKHO--1959



Singer:Mohd Rafi

Dil deke dekho dil deke dekho dil deke dekho ji dil lene waalon dil dena Seekho ji ho, dil lene
waalon dil dena seekho ji Dil deke dekho... Poocho poocho poocho parwaane se zara dheere
dheere jalne mein kaise hai maza. Oh ho ho tum bhi dil deke jal jaane seekho ji ah ha ha tum
bhi dil deke jal jaana seekho ji (kaise?) Dil deke dekho... Samjho samjho samjho deewane
ki zabaan pyar jo na hota na hota yeh jahaan oh ho ho tum bhi dil deke yeh gaana seekho ji ah
ha ha tum bhi dil deke yeh gaana seekho ji (Kya?) Dil deke dekho....

Do Badan - 1966


Singer: Mohd Rafi
Bhari suniya mein aakhir dil ko samjhane kahan jayein
muhaabat ho gayi jin ko wo diwaane kahan jayein
bhari duniya

laghein hein shama per pehre zamana ki nigahoon kay(2)
zamaney ki nigahoon kay
jinhein jalney ki hasrat hay
jinhein jalne ki hasrat hay wo perwaney kahan jayein

muhaabat ho gayi jin ko wo diwaane kahan jayein
bhari duniya

sunana bhi jinhein mushkil chuppana bhi jinhein mushkil (2)
chuppana bhi jinhein mushkil
zara to hi bata aye dil
zara to hi bata aye dil wo afsaane kahan jayein

muhaabat ho gayi jin ko wo diwaane kahan jayein
bhari duniya

nazar mein uljhanein dil mein hay aalam beqaarari ka (2)
hay aalam beqaarari ka
samajh mein kuch nahi aata
samajh mein kuch nahi aata sukoon paney kahan jayein

muhaabat ho gayi jin ko wo diwaane kahan jayein
bhari duniya

Baiju Bawara - 1952::Hindustani raag :: Malhar :: Darbhar kanada

:: Darbhaar



raag::Dharbhar kanada
Hindustani raag :: Malhar

Singer: Mohammad Rafi

bhagwaan bhagwaan bhagwaan bhagwaan
o duniya ke rakhwaale
sun dard bhare mere naale (2)

o duniya ke rakhwaale
sun dard bhare mere naale (2)

aash niraash ke do rango se duniya toone banaayi
naiya sang toofaan banaya milan ke saath judaayi
ja dekh liya harjaayi
ho loot gayi mere pyaar ki nagari ab to neer baha le
ab to neer baha le
ho ab to neer baha le
o duniya ke rakhwaale
sun dard bhare mere naale (2)

aag bani saawan ki barkha phool bane angaare
naagan ban gayi raat suhaani patthar ban gaye taare
sab toot chuke hain sahaare
ho jeevan apna waapas le le jeevan dene waale
o duniya ke rakhwaale

chand ko dhoondhe paagal sooraj shaam ko dhoondhe savera
main bhi dhoondhoon uss preetam ko ho na sakaa jo mera
bhagwaan bhala ho tera
ho kismat footi aas na tooti paanv mein pad gaye chhaale
o duniya ke rakhwaale

aaa aaa aaa aaa aaa aaa aaa
mahal udaas aur galiyaa suni chup chup hain deewaare
dil kya ujada duniya ujadi, ruth gayi hain bahaare
hum jeevan kaise gujaare
ho mandir girtaa fir ban jata dil ko kaun sambhaale
o duniya ke rakhwaale
sun dard bhare mere naale (2)

o duniya ke rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale, rakhwaale

MOHD RAFI SAHAB- Last Image-(1980) - Awaz ka Farishta-