Saturday, April 4, 2009

Chori Chori - 1956

Singers::Mannadey & Lata Mangeshkar

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara

Aah...aah
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Ithlaati hawa, neelam sa gagan
Kaliyon pe yeh behoshi ki nami
Aise mein bhi kyoon bechain hai dil
Jeevan mein na jaane kya hai kami

Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara

Jo din ke ujaale ne na mila
Dil dhoonde aise sapne ko
Is raat ki jagmag mein doobi
Main dhoond rahi hoon apne ko

Yeh raat bheegi bheegi, yeh mast fizaayein
Utha dheere dheere voh chaand pyaara pyaara
Kyoon aag si lagaake gumsum hai chaandni
Sone bhi nahin deta mausam ka yeh ishaara

Aise mein kahin kya koi nahin
Bhoole se jo humko yaad kare
Ek halki si muskaan pe jo
Sapnon ka jahan aabaad kare

No comments: