Sunday, January 22, 2012

Jaal--1952




Music Director::S.D.Burman
Singer(s) :Hemant


Ha..aa haa ha ha aa
ye raat ye chaandani phir kahaan
sun jaa dil ki daastaan
ye raat.................................

haan~~haan ~~ aa
pedon ki shaakhon pe soyee soyee chaandani
pedon ki shaakhon pe
tere khayaalon men khoyee khoyee chaandani
aur thodi der men thak ke laut jaayegi
raat ye bahaar ki, phir kabhi na aayegi
do ek pal aur hai ye samaa,
sun jaa dil ki............................

haan~~haan ~~ aa
laharon ke honthon pe dheema-dheema raag hai
bheegi havaaon men, thandi thandi aag hai
is haseen aag men tu bhi jal ke dekh le
zindagi ke geet ki dhun badal ke dekh le
khul ne de ab dhadakanon ki zubaan,
sun jaadil ki..............................

haan~~haan ~~ aa
jaati bahaaren hain, uthati javaaniyaan
taaron ki chhaaon men, kahele kahaaniyaan
ek baar chal diye, gar tujhe pukaarake
laut kar na aayenge qaafile bahaar ke
aaja abhi zindagi hai javaan,
sun jaa dil ki.........................

No comments: