Sunday, August 19, 2012

TAMANNA--1969




Music Director::Kalyanji Anandji
Lyricists::Anand Bhakshi
Singer(s)::Mohammad Rafi

Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi
Kaise kaise phool chaman mein, lekin aisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi

Kaliyon ka joban, pariyon ka roop
Baadal ki chaaon, suraj ki dhoop
Shayar ki ghazalen, sheeshe ke jaam
Dilkash baharein, rangeen shaam
Kaise kaise naam hain lab pe, lekin aisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi

Baaghon mein shabnam mashoor thi
Baad-e-saba bhi maghroor thi
Jab tujhko dekha jaan-e-bahaar
Kehne lagay sab tauba hai yaar
Kaise kaise husn yahan hai, lekin aisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi

Jo tujhko dekhe soche ye baat
Ye zulf hai ya saawan ki raat
Jo tujhko dekhe poocho sawaal
Tu hai haqeeqat ya hai khayal
Kaise kaise jalwe jahan mein, lekin aisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi
Kaise kaise phool chaman mein, lekin aisa koi nahi
Tere jaisa kaun hai, tere jaisa koi nahi

1 comment:

bd1 said...

Anand Bhakshi is very good lyricst in bollywood film,Mohammad Rafi sung this song beautifull,
its a nice romantic songs
more bollywood songs in www.bollyhit.com