Wednesday, September 23, 2015

Don--1978



Music::Kalayanji Anandji
Lyricist::Anjaan 
Film Directed By::Chandra Barot
Producer::Mukhtar Ahmed, Nariman Irani
Release Date::12 Jun, 1978
Singers::Lata Mangeshkar, Kishore Kumar
Cast::Amitabh Bachchan,Zeenat Aman,Pran,Helen,Iftekhar,Om Shivpuri,Kamal Kapoor

:::::

jis Ka Mujhe Tha Intezaar 
jis Ke Liye Dil Tha Beqaraar 
voh Ghadi Aa Gayi, Aa Gayi 
aaj Pyaar Mein Had Se Guzar Jaana Hai 
maar Dena Hai Tujhko Ya Mar Jaana Hai

jis Ka Mujhe Tha Intezaar 
jis Ke Liye Dil Tha Beqaraar 
voh Ghadi Aa Gayi, Aa Gayi 
aaj Pyaar Mein Had Se Guzar Jaana Hai 
maar Dena Hai Tujhko Ya Mar Jaana Hai

mujhpe Jo Guzri Tu Kya Jaane 
tu Kya Samjhe, O Deewane 
lete Rahoongi Badna Tujhse 
aayi Hoon Dil Ki Aag Bujhaane
ooooo..Kaatil Meri Nazron Se Bachke Kahan Jaayega 
kaatil Meri Nazron Se Bachke Kahan Jaayega 
diya Hai Jo Mujhko, Vahi Tu Mujhse Paayega 
voh Ghadi Aa Gayi, Aa Gayi 
teer Banke Jigar Mein Utar Jaana Hai 
maar Dena Hai Tujhko Ya Mar Jaana Hai

jaadu Tera Kis Pe Chala 
hoga Kisi Din Yeh Faisla 
voh Ghadi Aayegi, Aayegi 
jaana, Tune Abhi Yeh Kahan Jaana Hai 
kise Jeena Hai Aur Kisko Mar Jaana Hai 

hoga Tera Aashiq Zamaana 
auron Ka Dil Hoga Tera Nishaana 
naaz Na Kar Yun Teere Nazar Pe 
aaye Hamein Bhi Teer Chalaana
jo Hai Khilaadi Unhe Khel Hum Dikhaayenge 
apne Hi Jaal Mein Shikaari Phas Jaayenge 
voh Ghadi Aayegi, Aayegi 
waqt Aane Pe Tujhko Yeh Samjhaana Hai 
kise Jeena Hai Aur Kisko Mar Jaana Hai

No comments: