Wednesday, December 30, 2015

Amar Prem--1972

Music::R D Burman
Lyrics::Anand Bakshi
Singer::Kishore Kumar
Film Directed By::Shakti Samanta
Film Producer By::Shakti Samanta
Cast::Rajesh Khanna, Sharmila Tagore, Vinod Mehra, Sujit Kumar, Om Parkesh, Bindu, Farida Jalal, Satyen Kappu, Manmohan, Moolchand, Asit Sen, Raju Shreshta, Madan Puri, Naaz, Rakesh Pandey, Birbal

::::::::

kuchh to log kahenge, logo ka kaam hai kahana
chhodo bekar ki bato me kahi bit na jaye raina  

kuchh to log kahenge

kuchh rit jagat ki aisi hai, har ek subah ki sham hui 

tu kaun hai, tera nam hai kya, sita bhi yaha badnam hui
phir kyun sansar ki bato se, bhig gaye tere naina
kuchh to log kahenge, logo ka kaam hai kahana
chhodo bekar ki bato me kahi bit na jaye raina
kuchh to log kahenge 

hamko jo tane dete hai, ham khoye hai in rangraliyo me 

hamne unko bhi chhup chhupke, aate dekha in galiyo me
ye sach hai jhuthi baat nahi, tum bolo ye sach hai na

No comments: