Movie : Patita
Directed by Amiya Chakrabarty
Starring Dev Anand
Usha Kiran
Music by Shankar Jaikishan
Release date(s) 1953
Lyrics : Here
Song : Yaad kiya dil ne kahan
Singers : Hemanth Kumar, Lata Mangeshkar
Hemant:
Yaad kiya dil ne kahaan ho tum
Jhoomti bahaar hai kahaan ho tum
Lata:
Pyaar se pukaar lo jahaan ho tum -2
(repeat)
Hemant: O, kho rahe ho aaj kis khayal mein
Lata: O, dil fasaa hai bebasi ke jaal mein
(repeat)
Lata: Matlabi jahaan meherbaan ho tum
Hemant: Yaad kiya dil ne kahaan ho tum
Lata: Pyaar se pukaar lo jahaan ho tum -2
Hemant: O, raat dhal chuki hai subah ho gayi
Lata: O, main tumhaari yaad leke kho gayi
(repeat)
Lata: Ab to meri daastaan ho tum
Hemant: Yaad kiya dil ne kahaan ho tum
Lata: Pyaar se pukaar lo jahaan ho tum -2
Hemant: O, tum humaari zindagi ke baag ho
Lata: O, tum humaari raah ke charaag ho
(repeat)
Lata: Mere liye aasmaan ho tum
Hemant: Yaad kiya dil ne kahaan ho tum
Lata: Pyaar se pukaar lo jahaan ho tum -2
Hemant: Hm mm mm, mm mm mm
Lata: Hm mm mm, mm mm mm
Hemant: Hm mm mm, mm mm mm
Lata: Hm mm mm, mm mm mm
Song : Hain Sab Se Madhur Wo Geet
Singers : Talat Mohammad
hain sabase madhur wo geet jinhen, ham dard ke sur men gaate hain,
ham dard ke sur men gaate hain;
jab had se guzar jaati hai khushi, aansoo bhi chhalak te aate hain,
aansoo bhi chhalak te aate hain;
hain sab se madhur wo geet
(pahaloo men paraaye dard basa ke, hasana hasaana sikh zara,
tu hasana hasaana sikh zara )- 2
toofaan se kah de ghir ke uthe, ham pyaar ke deep jalaate hain,
ham pyaar ke deep jalaate hain;
hain sab se madhur wo geet
(kaanton men khile hain phool hamaare, rang bhare aramaanon ke,
rang bhare aramaanon ke)- 2
naadaan hain jo in kaanton se, daaman ko bachaaye jaate hain,
daaman ko bachaaye jaate hain;
hain sab se madhur wo geet
(jab gham ka andhera ghir aaye, samajho ke savera doornahin,
samajho ke savera door nahin)- 2
har raat ka hai paigham yahi, taare bhi yehi doharaate hain,
taare bhi yehi doharaate hain
hain sab se madhur wo geet
1 comment:
superb, very good, in these days of harshness. This is a tender collection.
Post a Comment