Wednesday, March 2, 2016

Saraswatichandra--1968



Music::Kalyanji Anandji
Lyrics::Indeevar 
Singer's::Mukesh
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

::Rag

:::::::::::::

(Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko) - (2) 
Chhod diya kyo pyar ne tere - 2 
Dar-dar bhatakane ko 
Pyar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko 

(Vo aansu jo bah nahi paye 
Vo baate jo kah nahi paye) - (2) 
Dil me chhupaye firate hai hum 
Ghut kar mar jane ko 
Pyar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyar tera pane ko 

(Uski rahe tu jiski ho li 
Tujhko mubaraq pyar ki doli) - (2) 
Baith gaye ham gam ki chita par 
Zinda jal jane ko 
Pyaar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyaar tera paane ko 
Chhod diya kyo pyaar ne tere - 2 
Dar-dar bhatakane ko 
Pyaar tera pane ko 
Hamne apna sab kuch khoya 
Pyaar tera pane ko

No comments: