Wednesday, March 2, 2016

Saraswatichandra--1968::Charukesi::Rag



Music::Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Lyrics::Indeevar(Shyamalal Babu Rai)
Singer's::Lata Mangeshkar
Film Directed By::Govind Saraiya
Cast::Manish, Nutan, Vijaya Chaudhary, Sulochana, Ramesh Deo, Seema Deo, B M Vyas, Nayam Pally, Sulochana Chatterjee, Dulari, Indu Shivraj, Parveen Paul, Vishwas Kunte, Dhumal, Surendra, Jeevankala, Babu Raje, Ratna Mala, Daya Devi, Govind, Sadhana Khote, Omkar, Madhumati

Charukesi::Rag

:::::::::::::

chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa
man se man kaa milan koyi kam to nahin
man se man kaa milan koyi kam to nahin
khushboo aati rahe door hi se sahi
saamne ho chaman koyi kam to nahin
saamne ho chaman koyi kam to nahin
chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
chaand miltaa nahin sabko sansaar mein
hai diyaa hi bahut roshni ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

kitni hasrat se takti hain kaliyaan tumhen
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin
ek duniyaa ujad hi gayi hai to kyaa
doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
doosraa tum jahaan kyun basaate nahin
dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
dil na chaahe bhi to, saath sansaar ke
chalnaa padtaa hai sab ki khushi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye
ye munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kaam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod  de saari duniya kisi ke liye

No comments: