Friday, March 6, 2009

Kabhi Kabhi 1976



Singer::Lata Mangeshkar, Mukesh
Music Director::Khaiyaam
Lyrics::Sahir Ludhianvi
Producer::Yash Chopra
Director::Yash Chopra
Actors::Amitabh Bachchan, Neetu Singh, Rakhee,

Rishi Kapoor, Shashi Kapoor, Waheeda Rehman
Theme::Love

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki narm chaon mein
Guzarne pati to SHADAB ho bhi sakti thi
Ye TIRAGI jo mere ZIST ka muqaddar hai
Teri nazar ki shuaon mein kho bhi sakti thi

Ajab na tha ke main BEGANA-ILM hokar
Tere JAMAL ki RANAION mein kho rahta
Tera GADAZ badan teri NEEM BAAZ aankhen
Inheen haseen fasanon mein moh hoh rahta

Pukarteen mujhe jab TALKHIYAN zamane ki
Ter labon se HALAWAT ke ghoont pe leta
HAYAT cheekhti phirti BARAHNA SARA DAR mein
GHANERI zulfon ke saaye mein chup ke jee leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke tu nahin tera gham teri JUSTJOO bhi nahin
Guzar rahi hai kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisi ke sahare ki AARZOO bhi nahin

Zamaan bhar ke dukhon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuch anjani RAHGUZARON se
MUHIB SAAYE meri SIMT barhte aate hain
HAYAT-o-maut ke PUR HAUL KHAR ZARON se

Na koi JADAH na manzil na roshni ka SURAGH
Bhatak rahi hai KHALAON mein zindagi meri
Inheen KHALAON mein rah jaaonga kabhi kho kar
Main jaanta hoon meri HUMNAFAS magar yunhi

Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai'

No comments: