Wednesday, February 3, 2016

Mughal-e-Azam--1960



Music::Naushad
Lyrics::Shakeel Badayuni
Singrt's::Lata Mangeshkar
Film Directed By::K Asif
Cast::Dilip Kumar, Madhubala, Murad, Nigar Sultana, Ajit, Durga Khote, Prithviraj Kapoor, Kumar, Jillo, Vijayalaxmi, Nazir, Surendra, Johnny Walker, Baby Tabassum

::::::::::

insaan kisi se duniya me, ek baar mohabbat karta hai
ish dard ko lekar jeeta hai, ish dard ko lekar marta hai

pyar kiya to darana kya jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya koi chori nahi ki pyar kiya
pyar kiya koi chori nahi ki chhup chhup ahe bharana kya
jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya to darana kya jab pyar kiya to darana kya

aaj kahege dil ka fasana jan bhi lele chahe zamana 
aaj kahege dil ka fasana jan bhi lele chahe zamana
maut vohi jo duniya dekhe
maut vohi jo duniya dekhe ghut ghut kar yun marana kya
jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya to darana kya jab pyar kiya to darana kya

unaki tamanna dil me rahegi, shamma isi mahafil me rahegi
unaki tamanna dil me rahegi, shamma isi mahafil me rahegi
ishq me jina ishq me marana
ishq me jina ishq me marana aur hame ab karana kya
jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya to darana kya jab pyar kiya to darana kya

chhup na sakega ishq hamara charo taraf hai unaka nazara 
chhup na sakega ishq hamara charo taraf hai unaka nazara 
parada nahi jab koi khuda se
parada nahi jab koi khuda se bado se parada karana kya
jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya to darana kya jab pyar kiya to darana kya
pyar kiya koi chori nahi ki chhup chhup ahe bharana kya
jab pyar kiya to darana kya

No comments: