Tuesday, February 2, 2016

Namak Haraam--1973



Music::R D Burman
Lyrics::Anand Bakshi
Singrt'sKishore Kumar
Film Directed By::Hrishikesh Mukherjee
Cast::Rajesh Khanna, Rekha, Amitabh Bachchan, Simi Garewal, Asrani, Raza Murad, A K Hangal, Om Shiv Puri, Durga Khote, Manmohan, Kamal Deep, Manju, Lalita Kumari, Jay Shree T, Neelam, Darshan, Manisha

::::::::::

diye jaltey hain
phool khiltey hain
diye jaltey hain
phool khiltey hain
badi mushqil se magar
duniya mein dost miltey hain
diye jaltey hain

jab jis waqt kisi ka
yaar juda hota hai
kuchh na poochho yaaron dil ka
haal bura hota hai
jab jis waqt kisi ka
yaar juda hota hai
kuchh na poochho yaaron dil ka
haal bura hota hai
dil pe yaadon ke jaise
teer chaltey hain
haan haan haan
diye jaltey hain
phool khiltey hain
diye jaltey hain

is rang-roop pe dekho
hargiz naaz na karna
jaan bhi maange yaar to de dena
naraaz na karna
rang ud jaate hain
dhoop dhalte hain
hmm hmm hmm
diye jaltey hain
phool khiltey hain
diye jaltey hain

daulat aur jawaani
ek din kho jaati hai
sach kehta hoon saari duniya
dushman ho jaati hai
daulat aur jawaani
ek din kho jaati hai
sach kehta hoon saari duniya
dushman ho jaa ti hai
uma bhar dost lekin
saath chalte hain
hmm hmm hmm
diye jalte hain
phool khilte hain
badi mushqil se magar
duniya mein dost miltey hain
diye jaltey hain

No comments: